Wednesday, December 22, 2010

Us Jheel Si Gehri Aankhon Main

un jheel si gahri aankhoon may
ik shaam kahin abad to ho
us jheel kinaray pal do pal
ik khwab ka neela phool khilay
wo phool bahareen lahroon may
ik roze kahin hum sham dhulay
us phool kay bahtay rungoon may
jis waqt lerzta chand chulay
us waqt kahin un aankhoon may
us guzray pal ki yaad to ho
phir chahay umer sumander ki 
her mooj peraishaan ho jaye
phir chahay aankh dereechay say
her khwab guraizan ho jaye
phir chahay phool kay chahray per
her derd numayan ho jaye
us jheel kinaray pul do pul
wo roop nager abad to ho

Subconscious Mind!

What if I told you that there was a part of your mind that is always working, even when you are asleep? This part of your mind is known as...