Wednesday, December 22, 2010

kissi khush nigah si aankh nay

kissi khush nigah si aankh nay
yeh kamal mujh pay karam kia
meri loh-e-jaan pay rakam kia
woh jo aik chaand sa harf tha,
woh jo aik shaaam sa naam tha
woh jo aik phool si baat thi,
younhi phirti rehti thi darbadar
ussay gulstaan ka pata dia
mera dil kay sher-e-malal tha
ussay roshni main basa dia
meri aankh aur khawb ko 
kissi aik pal main baham kia
maray aainay pay jo gard thi
mah-o-saal ki woh utar gai
jo dhund thi maray chaar su
woh eik lamhay hi bikhar gai
sabhi roop aks-e-jamal kay
sabhi khawab shaam-e-wisaal kay
jo ghubaar-e-waqt main, sar-ba-sar thay
uttay huay
woh chamak uthay
jo phool rah ki dhool thay
wohi phool phir say chamak uthay
lay saat rang bahar kay
jo chala main sang bahar kay!
jo saja diay sabhi rastay
kissi dast-e-shobda saaz nay
maray naam par maray wastay

mari be-ghari ko panah di, meri justujo ko nishaan dia
jo yaqeen say bhi haseen hai mujhay aik aisa gumaan dia

woh jo reza reza wajood tha
ussay ek nazar main baham kia
kissi khush nigah si aankh nay
yeh kamal mujh pay karam kia !!!.........

Subconscious Mind!

What if I told you that there was a part of your mind that is always working, even when you are asleep? This part of your mind is known as...