Wednesday, December 22, 2010

baandh lein...

baandh lein haath yeh seeney pe saja lein tum ko
jee main aata hai ke tasweer bana lein tum ko

phir tumhein roze sanwarein tumhein barhta dekein
kion na aangan main chanbeli sa laga lein tum ko

kabhi khuabon ki tarah aankh ke parde main raho
kabhi khwahish ki tarah dil main bula lein tum ko

hai tumhare liye kuch aisi aqeedat dil main
apne hathon main duaon sa utha lein tum ko

jaan dene ki ijazat bhi nahin dete ho
warna mar jaein abhi mar ke mana lein tum ko

jis tarah raat ke seene main hai mehtab ka noor
apne tareek makanon main saja lein tum ko

ab to bas aik hi khuahish hai kisi mor pe tum
hum ko bikhre hue mil jao sanbhalein tum ko


Subconscious Mind!

What if I told you that there was a part of your mind that is always working, even when you are asleep? This part of your mind is known as...