kaam sab ghair zaruuri haiN jo sab karte haiN
aur hum kuchh nahiiN karte haiN ghazab karte haiN
ham pe haakim kaa koi hukm nahin chaltaa hai
ham qalandar haiN, shahanshaah laqab karte haiN
aap ki nazroN meN suuraj kii hai jitnii azmat
ham chiraaghoN kaa bhii utnaa hi adab karte haiN
dekhiye jisko use dhun hai masiihaaii kii
aajkal shahroN ke biimar matab karte haiN
Rahat Indori