Monday, July 29, 2013

Dukh hi aisa tha keh roya tera Mohsin warna

Hum jo pohonchay sar-e-maqtal to ye manzar daikha
Sab say uncha tha jo sar, nok-e-sina per daikha

Hum say mat pooch keh kab chaand ubharta hai yahan
Hum nay suraj bhi teray sheher maian aa ker daikha

Pyaas yaaron ko ab us morrh pay lay aai hai
Rait chamki to yeh samjhay keh samandar daikha

Aisay liptay hain dar-o-baam say ab kay jaisay
Hadson nay bari muddat main mera ghar daikha

Zindagi bhar na hua khatm qayamat ka azaab
Hum nay her saans main barpa naya mehshar daikha

Itna bay-hiss keh pighalta hi na tha baton say
Aadmi tha keh tarasha hua patthar daikha

Dukh hi aisa tha keh roya tera Mohsin warna
Gham chhupa ker usay hanstay huay aksar daikha
 

- Mohsin Naqvi

Subconscious Mind!

What if I told you that there was a part of your mind that is always working, even when you are asleep? This part of your mind is known as...